What's new

Urdu Shayari Appreciation Thread

gani999

First Class Star
Joined
Jun 7, 2013
Runs
3,999
There has been too much Indo-Pak hatred drivel on this forum lately. So I thought I would start something concerning our shared heritage. Share your favourite Urdu Shayari/Ghazal/couplet here.

I'll start with one from Allama Iqbal

Jahan mein ahle iman soorat-e-kursheed jeete hain
idhar doobe tho udhar nikle, udhar doobe tho idhar nikle

Meaning: In this world, men of virtue live like the sun. They fall in one place only to rise in another.

Keep it coming chaps :)
 
NA KR nhin nhin ye waqt nhin nhin ka
teri is nhin nhin ny mughy chora nhin kahin ka:D:D:D
 
Let me throw a few shaers by Munir Niazi

Adab ki baat hai warna 'Munir' socho to,
Jo shakhs sunta hai, Wo bol bhi to sakta hai

another good one

Ik aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko,
Main ek dariya ke paar utra to main ne dekha

and here comes my fav one by Munir Niazi

Bichara kuch iss ada se ke rut hi badal gae,
Ik shakhs saare sheher ko veraan kar gaya
 
Khuda ke vaaste parda na Kaabe se utha zaalim
Kahin aisa na ho yaha bhi wahi kafir sanam nikle

———————–

Un ke dekhne se jo aa jaati hai chehre pe raunak
Wo samajhte hain ke beemar ka haal achha hai.

- Ghalib

Sent from my SM-G920F using Tapatalk
 
Let me throw a few shaers by Munir Niazi

Adab ki baat hai warna 'Munir' socho to,
Jo shakhs sunta hai, Wo bol bhi to sakta hai

another good one

Ik aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko,
Main ek dariya ke paar utra to main ne dekha

and here comes my fav one by Munir Niazi

Bichara kuch iss ada se ke rut hi badal gae,
Ik shakhs saare sheher ko veraan kar gaya

I have met Munir Niazi once. Was a great poet. My favorite stanza of him, is in Punjabi

Kuj unj we rawan aukhian se
Kuj gal wich gum da toq we se
Kuj sheher dey loq we zalim san
Kuj manoo maran da shoq wee see

Urdu Translation

Kuch uss ke raaste bhi TeRhe thai
Kuch baat bhi afsos ki thi
Kuch sheher ke log bhi zaalim thai
Kuch mujhe marne ka shauq bhi tha
 
Last edited:
I have met Munir Niazi once. Was a great poet. My favorite stanza of him, is in Punjabi

Cool how was he in real life? That punjabi one is my fav as well but i didn't posted it here because the thread was about urdu shayari.

I think the translation of first line should be:
Kuch wese be raahen mushkil thi

mushkil can be replaced by "kathan"
 
I think the translation of first line should be:
Kuch wese be raahen mushkil thi

mushkil can be replaced by "kathan"

I was thinking the same. Sounds more appropriate. But saw this translation from another source so didn't edit it.

Cool how was he in real life?

Humble and Polite. He was very weak those days. Could hardly stand. Was just a few months before he died.
 
Humble and Polite. He was very weak those days. Could hardly stand. Was just a few months before he died.

That's sad. I always wanted to meet Ashfaq Ahmed and when i finally decided to meet him he was gone :( Sometime we are too late

Munir was a good friend of Ashfaq sahab. We had too many gems in same era Mufti sahab, Qudratullah Shahab sahab, Ashfaq baba ji, faiz ahmed faiz, Insha ji, ahmed nadeem qasmi, faraz, bano qudsia and the list continues
 
They are all great names. Sad that you couldn't met Ashfaq Ahmed. He probably was the one didn't mind interacting with people so I guess, would have been easier to met him than others.

Another writer/poet I wanted to meet was Mushtaq Yousufi. Brilliant in humor and satire. Like him since school days cuz we used to have a chapter of his book (or a poem maybe) as part of our textbooks in schools.
 
Mushtaq Yousufi is a legend (still alive they used to have his and anwar masood programs on geo a few years back) Yousufi and Insha are very unique when it comes to urdu humor. Very few people know that Mushtaq Yousufi did a lot for departmental cricket in Pakistan when he was President of UBL Pakistan back in early 70s and still continued to help Kardar and co when become Chairman of the Pakistan Banking Council that was the era when departmental cricket started in Pakistan as a brainchild of Kardar.
 
Used to watch that program of his regularly. Read somewhere about his departmental cricket contribution too. It was him who introduced UBL as a departmental team in domestic cricket in 70s. Great man he is.
 
Yea he was the one who started UBL team.
 
Let me throw a few shaers by Munir Niazi

Adab ki baat hai warna 'Munir' socho to,
Jo shakhs sunta hai, Wo bol bhi to sakta hai

another good one

Ik aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko,
Main ek dariya ke paar utra to main ne dekha

and here comes my fav one by Munir Niazi

Bichara kuch iss ada se ke rut hi badal gae,
Ik shakhs saare sheher ko veraan kar gaya

Aham Aham bhai
 
Raaz-e-Dil Na Sunana Kisi Ko,
Duniya Mein Sab Humraz Badal Jaate Hain.
Kisi Ke bicharne Se Koi Mar Nahi Jata,
Haan Magar Jeene Ke Andaz Badal Jaate Hain.

اب کے رْت بدلی تو خوشبو کا سفر دیکھے گا کون
زخم پھولوں کی طرح مہکیں گے پر دیکھے گا کون
 
Raaz-e-Dil Na Sunana Kisi Ko,
Duniya Mein Sab Humraz Badal Jaate Hain.
Kisi Ke bicharne Se Koi Mar Nahi Jata,
Haan Magar Jeene Ke Andaz Badal Jaate Hain.

InshALLAH, in 2 days i will send you first page of my Novel :) I hope you will like it Sir
 
اب کے رْت بدلی تو خوشبو کا سفر دیکھے گا کون
زخم پھولوں کی طرح مہکیں گے پر دیکھے گا کون

Ghar wapas jab aoge tum kon tumhen pehchaanega? Kon kahega tum bin saajan yeh nagri veeraan?

InshALLAH, in 2 days i will send you first page of my Novel :) I hope you will like it Sir

Would love to read it!
 
great to see some fans of Mumtaz Mufti.
I think he was not as much popular as others but his work was awesome
anyways on topic.....

thak ker giren gy jis dum banhon mein teri aakar
US dum bhi konn jany hum kis safar mein hon gy
(jaun eliya)
..............................................
Jab teri jaan ho gayi hogi
jaan hairaan ho gayi hogi

shab tha meri nigaah ka bojh uspar
wo to halkaan ho gayi hogi

uski khaatir hua main khaar bahot
wo meri aan ho gayi hogi

ho ke dushvaar zindagi apni
kitni aasaan ho gayi hogi

be-gilaa hoon main ab bahot din se
wo pareshaan ho gayi hogi

ek haveli thi dil mohalle mein
ab wo veeraan ho gayi hogi

uske kooche mein aayi thi shireen
uski darbaan ho gayi hogi
(jaun eliya)
 
great to see some fans of Mumtaz Mufti.
I think he was not as much popular as others but his work was awesome

He wasn't popular because understanding Mufti wasn't easy for many he never used a simple way of explaining things like his friend Baba Ji Ashfaq. Mufti was a Sufi by heart in my view just like his 2 best friends Qudrattullah Shahab and Ashfaq Ahmed but he never wanted to be labeled a Sufi. He was a different gem a unique one.
 
Never easy to understand Sufism, and Mufti poetries were very deep
 
مجھے وحشت ہے رونق سے
مجھے ویران رہنے دو

Chalo hum maan lete hen ke tum bin hum bohat roye kaee raaton ko na soye
mager afsos he jaana ke ab ke tum jo lotoge humain tabdeel paoge bohat mayus hoge tum
ager tum puchna chaho ke aysa kyun kya humne? to sun lo ghor se jaana
puraani ik rewayat tor di humne, mohabat chori di humne haan mohabat chori di humne
 
Never easy to understand Sufism, and Mufti poetries were very deep

It depends on the person as well for example Ashfaq Ahmed way of explaining Sufism was so simple that everyone from highly educated to illiterate can understand it without any issue. He used the.examples from our daily life.
 
He wasn't popular because understanding Mufti wasn't easy for many he never used a simple way of explaining things like his friend Baba Ji Ashfaq. Mufti was a Sufi by heart in my view just like his 2 best friends Qudrattullah Shahab and Ashfaq Ahmed but he never wanted to be labeled a Sufi. He was a different gem a unique one.

he was honest to unbelievable stretch of imagination in his autobiographis. he never care about grammar to make his sentence impactful even if he had to mix in english and hindi he would do it.And he never let his readers feel inferior than himself. Such was his style that made me " a 21 year old boy" his fan. 17381_439424756215367_7673483607497465420_n.jpg17381_439424756215367_7673483607497465420_n.jpg

like "pata nhi kyun" sometimes reader ko inferiority complex mein nhi jany deta,wo kehta ha lo bhi yh to mery jesa hi ha.Isy to khud bhi nhi pata and many other times" saahibo aap mery bat sy ittefaq karen ya na karen". This arises the thinking power of his reader instead of many other writers whose style is kind of imposing and like"how dare you not agree with me ?"you know I am a writer ,I have experienced many such things you will never come close to.
 
he was honest to unbelievable stretch of imagination in his autobiographis. he never care about grammar to make his sentence impactful even if he had to mix in english and hindi he would do it.And he never let his readers feel inferior than himself. Such was his style that made me " a 21 year old boy" his fan. View attachment 59862View attachment 59862

like "pata nhi kyun" sometimes reader ko inferiority complex mein nhi jany deta,wo kehta ha lo bhi yh to mery jesa hi ha.Isy to khud bhi nhi pata and many other times" saahibo aap mery bat sy ittefaq karen ya na karen". This arises the thinking power of his reader instead of many other writers whose style is kind of imposing and like"how dare you not agree with me ?"you know I am a writer ,I have experienced many such things you will never come close to.

Yes Mufti was different and unique in this way he never feel ashamed of making himself takhta-e-mashq and never tried to force his views on anyone.

I recently saw Mufti son in an interview but he looks totally different.
 
Chalo hum maan lete hen ke tum bin hum bohat roye kaee raaton ko na soye
mager afsos he jaana ke ab ke tum jo lotoge humain tabdeel paoge bohat mayus hoge tum
ager tum puchna chaho ke aysa kyun kya humne? to sun lo ghor se jaana
puraani ik rewayat tor di humne, mohabat chori di humne haan mohabat chori di humne

کیا حال سناواں دل دا
کوئی محرم راز نہ مل دا
 
Industriya jitni bhi thi yaar kha gaye,
Baaqi sab rishteydar kha gaye,
Marne ke baad bhi ki unho ne mera sath cheating,
Banaya jo mazaar to minaar kha gaye.

-Baqra Qisto Pai

Sent from my SM-G920F using Tapatalk
 
sunaa hai log use aaNkh bhar ke dekhte haiN
so us ke shah’r meN kuchh din Thahar ke dekhte haiN

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloN se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte haiN

(rabt : closeness)

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii
so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte haiN

(chashm-e-naazuk : delicate eyes; gaahak : customer)

sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shaGhaf
so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte haiN

(shaGhaf : interest; mojaze : miracles)

sunaa hai bole to baatoN se phuul jhhaRte haiN
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiN

sunaa hai raat use chaaNd taktaa rahtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte haiN

(baam-e-falak : terrace of the horizon)

sunaa hai hashr haiN us kii Gazaal sii aaNkheN
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiN

sunaa hai din ko use titaliyaaN sataatii haiN
sunaa hai raat ko jugnuu Thaher ke dekhte haiN

sunaa hai raat se baRh kar haiN kaakuleN us kii
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhte haiN

(kaakul : tresses)

sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aah bhar ke dekhte haiN

(surmaafarosh : kohl vendors)

sunaa hai us ke laboN se gulaab jalte haiN
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte haiN

sunaa hai aa’iinaa tamsaal hai jabiiN uskii
jo saadaa dil haiN ban saNvar ke dekhte haiN

sunaa hai jab se hamaail haiN us kii gardan meN
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhte haiN

(hamaail : something to wear around the neck)

sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan meN
palang zaave (?) us kii kamar ke dekhte haiN

(chashm-e-tasavvur : eyes of imagination)

sunaa hai us ke badan ke taraash aise haiN
ke phuul apanii qabaayeN katar ke dekhte haiN

(qabaayeN : tunic)

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahiiN
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte haiN

(sarv-qad : tall and graceful; shaguufe : bud; samar : fruit)

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte haiN

(rah-ravaa.N : travellers)

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makiiN udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte haiN

(shabistan : bedroom; muttasil : near; makiin : tenant)

ruke to gardisheN us kaa tavaaf kartii haiN
chale to us ko zamaane Thaher ke dekhte haiN

(gardish : time)

kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhte haiN

(be-pairahan : without clothes)

kahaaniyaaN hii sahii sab mubaalaGe hii sahii
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhte haiN

(mubaalaGe : beyond one’s limits)

ab us ke shahar meN ThahareN ki kuuch kar jaayeN
“Faraz” aao sitaare safar ke dekhte haiN

Ahmed Faraz
 
Industriya jitni bhi thi yaar kha gaye,
Baaqi sab rishteydar kha gaye,
Marne ke baad bhi ki unho ne mera sath cheating,
Banaya jo mazaar to minaar kha gaye.

-Baqra Qisto Pai

Sent from my SM-G920F using Tapatalk

:nehra That urdu tho. :yk :maqsood
 
Bichartay waqt unh ankhun mein thi hamari ghazal,

Ghazal bhi woh joh hamney kesi ko kabhi sunayi na thi. :afaq
 
:nehra That urdu tho. :yk :maqsood
Yaar, meri Urdu mai aur baaqiyo ke Urdu mai kya farq hai. Aaj faisla ho hi jaye. Uper sai yeh kambakhat autospeller ke wajah sai itni extra mahnat karni padi.

Sent from my SM-G920F using Tapatalk
 
Yaar, meri Urdu mai aur baaqiyo ke Urdu mai kya farq hai. Aaj faisla ho hi jaye. Uper sai yeh kambakhat autospeller ke wajah sai itni extra mahnat karni padi.

Sent from my SM-G920F using Tapatalk

Its rather ironic that this post of yours contains perfectly written urdu. :d
 
Its rather ironic that this post of yours contains perfectly written urdu. :d
c3de46f7a62629c92e4129f340be5720.jpg

Sent from my SM-G920F using Tapatalk
 
Urdu poet Nida Fazli passed away yesterday. One of his famous couplets below.

Kabhi Kisiko Mukammal Jahan Nahi Milta
Kahi Zameen To Kahi Aasmaan Nahi Milta
 
Last edited:
Kal Shab Dekha Mainay Chaand Jharokay Main
Us Ko Kiya Salaam Tumhaaray Dhokay Main

~ Waris Baig
 
Last edited:
King of Ghazal Mohsin Naqvi

Mutma'inn hoon k mujhay yaad rakhay g dunya---- jab b is sheher ki tareekh e Wafa likhay g

Ghar k Dar o divaar mujhay sochain gay--- Wuss'et e Dasht mujhay abla pa likhay g

Mera matamm isi chup chaap fiza main ho ga---- mera noha inhee galyoon ki hawa likhay g

And

King of Urdu Poetry Faiz Ahmed Faiz
 
Gali Gali mein hua meri sikasht ka ailaan
Ye kaun jaane ki main to bisaat par hi naa tha
 
Well good poets not kings by any means...Urdu poetry is quite vast to be ruled by 1 king.

Gali Gali mein hua meri sikasht ka ailaan
Ye kaun jaane ki main to bisaat par hi naa tha

I think its "Kay main to bissat par hi na tha" Ki is used in Hindi and not in Urdu.."Ki" in urdu means when you have to relate something feminine to someone..for e.g. "Basooday Ki Marium" "Zehar ki Sheeshi" "Jashan ki Rat"
 
Libaas tan se utaar dena
Ksi ko banhon k haar dena
Phr us k Jazbon ko maar dena
"Agr mohabbat yehi hai Jana
to maaf krna
mujhe nahi hai"

Gunah krny ka soch lena
Haseen pariyaan daboch lena
Phr uski ankhain hi nooch lena
"Agr mohabbat yehi hy Jana
to maaf krna
mujhe nahi hai"

Ksi ko lafzon k Jaal dena
Ksi ko Jazbon ki dhaal dena
Phr uski izat uchaal dena
"Agr mohabbat yehi hai Jana
to maaf krna
mujhe nahi hai"

Andhair-nagri me chalty jana
Haseen kaliyaan masalty jana
or apni fitrat pe muskurana
"Agr mohabbat yehi hai Jana
to maaf krna
mujhe nahi hai"

Saja raha hy her ek deewana
Khyal-e-husn-o-Jamal Jana
Khyal kya hain hawas ka tana
"Agr mohabbat yehi hai Jana
to maaf krna
mujhe nahi hy"

Sent from my GT-P3100 using Tapatalk
 
Ye Jo Saanp Seerhi Ka Khel Hy
Abi Saath Thay Dono Ham Nawa

Wo Bhi aik (1) Pay
Main Bhi aik (1) Py

Usay Seerhi Mili Wo Charh Gaya

Mujhe Raastay Me he Das lia
Meray Bakht K Kisi Saanp Nay

Bari Dour Say Parra lotna
Zakham Kha K Apny Naseeb Ka

Wo Nina'way(99) Pay Ponch Gaya
Me Dus(10) K Phair Me Gir Gya

Usy 1 Number Tha Chahiye
Jo Nhi Mila So Nhi Mila

Mai Barha To Barhta Chala Gaya

Bus ik Choky Ki baat Thi

Par Us sy Jeetna Meri Maat Thi

Mai Nay Jaan K Gotti Ghalt Cahli

Aur Saanp k munh me daal di

Ye Jo Pyar Ha Kabhi Sochna

Yeh b sanp seerhi ka khel hai
[emoji23] [emoji81] [emoji2]

Sent from my GT-P3100 using Tapatalk
 
Radeef , Qafia , Bandish , Khayal , Lafz-Gari
Wo hUUr , Zeena UtartAy hUway SikhanAy Lagi

Saheefa hUsn Ka , Iss ShAAn sAy hUwa NAzil
KhUda Ki Shaan mAin , Har "yAd AayAh" Main nAy Parhi

Kice K Sheeren LabOOn sAy UdhAr LaitAy hAin
MithAs , Shehad , Ratb , Cheni , Qandd , Misri Dali

Kice K SAth NahAtAy hAin tAiz Barish mAin
Libaas , GajrAy , Uffaq , Aankh , Zulf , Hoont , Hansi

Kice Ka Bheega Badan , Gul Khilata hAi Aksar
Gulab , rAAni , Kanwal , Yasmeen , Champa Kali

Kice kO Chalta hUwa Daikh lAin tO Chaltay Banain
Ghazal , Morini , Maujen , Najm , Zamana , Ghari

Kice K Madh Bhari AankhOOn K Aagay kUch Bhi Nahi
Thakan , Sharab , Dawa , Gham , Khumar e Neem Shabi

"Ba Shart e Faal" Kise Khal Par mAin Warun Ga
Chaman , Pahar , Daman , Dasht , Jheel , Khushki , Tari

NigahAin 4 hUway , Waqt Hoosh Kho Baithaa
Saddi , Dahayi , Baras , Mah , Roz , Aaj , Abhi

Ata-e-hUsn Thee , Qais Ik Jhalak mAin Shokh Ghazal
Bayaz Hotee Mukamal , Magr Wo Phr Na Meli

Sent from my GT-P3100 using Tapatalk
 
Here is one of my fav one

Ab ye sochoon to bhanwar zehan main par jatay hain
Kesay chehray hain jo miltay hain bichar jatay hain

Kiyun tere dard ko dain tohmat-e-veeraani-e-Dil
Zalzalon main to bharay shehar ujar jaatay hain

Mausam-e-zard main ik dil ko bachaoon kesay?
Aisi rut main to ghannay Pairr bhi jhar jatay hain

Ab koi kya mere qadmon k nishaan dhoonday ga?
Taiz aandhi main to khaimay bhi ukhar jatay hain

Soch ka aaeena dhundla ho to phir waqt k sath
Chand chehron ke khad-o-khaal bigar jatay hain

Shiddat-e-Gham main bhi zinda hoon to hairat kesi?
Kuch diye tund hawaon say bhi lar jatay hain

Wo bhi kya loog hain "Mohsin" jo wafa ki khatir
Khud tarasheeda Asoolon pay bhi arr jatay hain...
 
My favorite one along with others.
 
I thought Bulley Shah's would be your favorite?

Good choice though.
 
I thought Bulley Shah's would be your favorite?

Good choice though.

I was talking about poem only not poet. Bulleh Shah, Sultan Bahu, Mian Meer, Baba Ghulam Fareed all are my fav!

Dil derya samnderon dunge kon dilaan dyaan jaane hu?
 
Wakif nahi hai tu mere junoon se

Nihla duinga tujhe , tere hi khoon se.

[emoji57] By Justcrazy
 
Dard kya hai batayenge kisi din..
Dil cheer ke dikhayenge kisi din..
Udne do in parindo ko aazad fizaon mein…
Apne huye to lout k ayenge kisi din..!

Sent from my GT-P3100 using Tapatalk
 
"Na rakh umeed-e-wafa kisi parindey se WASI, Zara par kya nikle apna hi aashiyana bhool jate hain."

Sent from my GT-P3100 using Tapatalk
 
Har kadai mein halwa zaroor hona chahiye
garam ho ya thanda, sath chamchaa zaroor hona chahiye
..

:))
 
کبھی تمنا کے راستوں پر نکل پڑو تو خیال رکھنا
ہوائیں بادل فضائیں موسم خیال
چہرے بدل بدل کر تُمہیں ملیں گے
تو لمحہ لمحہ بدلتے رنگوں کے شوخ دھوکے میں آ نہ جانا
کبھی جو چاروں طرف تُمہارے
کرن کرن اپنا خواب آسا بدن نکھارے
زمیں پہ اُترے
تو دُھندلکوں میں سما نہ جانا
کبھی جو آنکھوں میں چاند ہنس ہنس کے چاندنی کا خُمار بھر دے
تو اپنی آنکھیں کہیں خلا میں گنوا نہ آنا
کہ یہ نہ ہو پھر جو خواب ٹوٹے
دھنک دھنک کا سراب ٹوٹے
تو جِسم و جاں پر عضاب ٹوٹے
اور تُم بمُشکل لرزتے ہاتھوں میں
کرچی کرچی بدن سنبھالے
کہیں بُلندی پہ چڑھ کے
رِستی ہوئ نگاہوں سے
واپسی کے نشان ڈھونڈو
اُجڑ گیا جو جہان ڈھونڈو
کبھی تمنا کے راستوں پر نکل پڑو تو خیال رکھنا
کہیں سے خالی پلٹ کے آنا بُہت کٹھن ہے
بُہت کٹھن ہے
 
جبکہ ان کی اہلیہ بیگم حضرت محل رخصت ہو کر نیپال چلی گئی تھیں جہاں انہوں نے نہ صرف رہائش اختیار کی بلکہ ہندوستان کی جدو جہد آزادی کی قیادت بھی کی۔ ان کی اہلیہ حضرت محل بھی شاعرہ تھیں اور انہوں نے متعدد نظمیں لکھی تھیں۔ جس میں سے ایک نظم تو ان کی المناکی کی داستان بیان کرتی ہے جس میں انہوں نے لکھا تھا

حکومت جو اپنی تھی اب ہے پرائی
اجل کی طلب تھی اجل بھی نہ آئی

نہ تخت اور تختہ اسیری نہ شاہی
مقدر ہوئی ہے جہاں کی گدائی

لکھا ہوگا حضرت محل کی لحد پر
نصیبوں جلی تھی فلک کی ستائ
 
I'm not an expert on poetry by any means, but I am curious of the opinion of your poetry enthusiasts: Is Ghalib the greatest poet ever or what?
 
My favorite-
Bas Ek bar aur dekh k azaad kar de mujhe......mein aaj bhi teri pehli nazar k qaid mein hu.
 
If you like progressive Urdu poetry then listen to Laal band.
They use Faiz, Jalib and Iqbal's poetry in their songs.

For sufi poetry listen to Nusrat fateh Ali Khan.

I regret the time now that i used to dislike poetry till fsc. Poetry is beautiful :)
 
Inspirational poetry by some unknown poet
Abhi sooraj nahi dooba zra si shaam hone dou
Mein khud hi laut jaunga mujhe naakaam hone dou
Muhje badnaam karne ke bahaane dhoondte ho kyun
Mein khud hi ho jaunga badnaam pehle naam hone dou
Abhi mujhe nhi karna hai aitraaf e shikasat
Mein sab tasleem kar lunga yeh charcha aam hone dou
Meri hasti nhi anmol lekin phir bhi bik nhi Sakta
Wafaaein bech Lena par zra nilaam hone dou
Naye aagaaz mein hai honsla kyun tod baithe ho
Tum sab kuch jeet jao ge zra anjaam hone dou
 
I like mir taqi mir, khawaja haider Ali atish and sheikh Ibrahim zouq these guys were really good!! faiz Ahmed faiz Mirza asadullah khan ghalib and Iqbal are top 3 for me !! Mir taqi mir has used simple language I really find him very fascinating
Here is some of his poetry
Ashq ankhon mein kab nhi aata
Lahoo aata hai jab nhi aata

Hosh jaata nhi raha Leki
Jab woh aata hai tab nhi aata

Dil se rukhsat hui koi khwaahish
Agar yeh kuch besabab nhi aata

Ishq ko hosla hai sharat warna
Baat ka kisko dhab nhi aata

Jee mein kya kya hai apne ae humdum
Par sukhan ta balb nhi aata

Dur baitha gubar Mir iss se
ishq bin yeh adab nhi aata
 
nice
Jon Elia and Nasir Kazmi also used simple language.
 
Back
Top