Naim
First Class Player
- Joined
- Feb 6, 2014
- Runs
- 3,052
Follow along with the video below to see how to install our site as a web app on your home screen.
Note: This feature may not be available in some browsers.
Nice to see a poster from Baluchistan at PP! are you baloch bro?
NO I am Pathan.
I think we have very less people from Baluchistan on this forum would love to see more like you here. And waiting for a player from Baluchistan in Pakistan 11 soon.
Beauty of a country lies in its people, not mountain and rivers.
Nice thread.
Waiting for the pics of northern areas.
Now this is what you call STUNNING, whenever I see these beautiful landscapes, I really wish I had an Alien spacecraft in which I can teleport myself instantly to these heavenly places.
Good for you, unfortunately you will find that most of those pictures you posted, don't resemble the actual places as much as you think. There's heavy editing and HDR applied in all of them.
To OP, great thread, will be nice to see a different side of Pakistan through the pictures you post. Keep them coming!

Dude, freaken great pics. Post more of Balochistan if you can.
no bro my cast is gandapur.
k, Which is the biggest pushtun tribe in baluchistan?
[MENTION=136378]Naim[/MENTION] i know you're not baluch but can you tell us a bit about the Baloch people since you're from the same province?
yes i can tell so what,s you want to know about them.
Main yahan pe Pakistan ki beauty dekhane ke liye aaya hun, so jo masail hain wo main urdu main bata raha hun taa ke kisi dusre mulk ke log na samajh sakain.
dekhain baluchistan main aik pashtun belt hain jo ke jo ke 30% hai baluchistan ka. baqi baloch belt hai. ab jo masail hain wo ye hain ke. aik to raqba bahot bara hai ayr abadi bahot kam hai. bahot door door jaa ke aap ko koi 5 6 ghar nazar aahain ge agar aap panjgur ki side jain to. ab wahan pe pijli pohnchana zara mushkil hai.
yee nahi ki balucho ke sath najaiz nahi hua hai. un ke sath bhi bahot zulm kia gia hai. sui se gass aati hai aur sath hi 15 km ke fasle pe city hain wahan gass nahi di gai jab ke yahi gass marri tak pohnch gai hai. ziarat ke sanobar ka adha junjle jal gia per gass abhi 3 saal pahle jaa ke pohnchi. NA school hai. na koi taleemi nizam hai. na koi teachers hain.
per is main sara qasoor Govt. ka bhi nahi hai. yahan se hamesha sardar hi elect hote rahe hain. wo fund khaa jate hain phir awam main ja ke kahte hain ke Govt Balucho ke sath zulm kar rahi hai aur awam main taleem o shaoor na hone ki surat main wo sardar ki sari bat man lete hain.
ab baat ye hai ki kia sare baluch alaidgi chahte hain????
Nahi aisa nahi hai. balucho main mushkil se 3 4 hazar log aise hon ge. aur agar un ko bhi sahi se deal kia jaye to mushki se chand hi log bachain ge. jab yahan PM aate hain to wo wohi ghalti karte hain Baluchistan package ke name pe arbon rupe diye gaye per baluch sardaro ko. aur wo apise kisi ke pass nahi aaye. sardaron ki jaib main chale gaye.
mere kafi sare dost baluch hain. baat ab ye hai ki larai ab badle ki shuru hai wahan. jab FC ke jawan marte hain to wo jaa ke aik gaun pe jaa ke logo ko marte hain. jab un ke bhai bahen ko kuch hota hain to wo dobara badla lene aate hain .
agar aik faisla kar dia jaye ke jo hamare log mare ham ne muaf kia jo tumhare log mare tum muaf karo. to muamla bilkul hi khatam ho jaye ga.
raheel sharif se umeed hai ke wo ye baluchistan ka masla theek kar ke jain ge. IN SHaa ALLAh
Main yahan pe Pakistan ki beauty dekhane ke liye aaya hun, so jo masail hain wo main urdu main bata raha hun taa ke kisi dusre mulk ke log na samajh sakain.
dekhain baluchistan main aik pashtun belt hain jo ke jo ke 30% hai baluchistan ka. baqi baloch belt hai. ab jo masail hain wo ye hain ke. aik to raqba bahot bara hai ayr abadi bahot kam hai. bahot door door jaa ke aap ko koi 5 6 ghar nazar aahain ge agar aap panjgur ki side jain to. ab wahan pe pijli pohnchana zara mushkil hai.
yee nahi ki balucho ke sath najaiz nahi hua hai. un ke sath bhi bahot zulm kia gia hai. sui se gass aati hai aur sath hi 15 km ke fasle pe city hain wahan gass nahi di gai jab ke yahi gass marri tak pohnch gai hai. ziarat ke sanobar ka adha junjle jal gia per gass abhi 3 saal pahle jaa ke pohnchi. NA school hai. na koi taleemi nizam hai. na koi teachers hain.
per is main sara qasoor Govt. ka bhi nahi hai. yahan se hamesha sardar hi elect hote rahe hain. wo fund khaa jate hain phir awam main ja ke kahte hain ke Govt Balucho ke sath zulm kar rahi hai aur awam main taleem o shaoor na hone ki surat main wo sardar ki sari bat man lete hain.
ab baat ye hai ki kia sare baluch alaidgi chahte hain????
Nahi aisa nahi hai. balucho main mushkil se 3 4 hazar log aise hon ge. aur agar un ko bhi sahi se deal kia jaye to mushki se chand hi log bachain ge. jab yahan PM aate hain to wo wohi ghalti karte hain Baluchistan package ke name pe arbon rupe diye gaye per baluch sardaro ko. aur wo apise kisi ke pass nahi aaye. sardaron ki jaib main chale gaye.
I'll try to type in Urdu lol
Magar kuch baluch yeh samajthe hai ke Pakistan ney unkay zameen par qabza kiya hai aur woh kabhi Pakistan ka hisa nahi bunna chahtetay, kya yeh baat sahi hai?
Naim bhai, beautiful pictures. Apkay khayal mein Army ka role kaisa hai Balochistan mein? Isse situation behtar hore hai ya aur kharab?
nahi ye bat sire se hi ghalat hai. jab Pakistan banna tha to tab Baluchistan aik aazad riyasat thi. to tab Khan of Kalat ne Pakistan main shamil hone ka faisla kia tha.
main ne aaj tak kisi Baluch ko ye kahte huye nahi suna. han Haquq ki jung hai yaha. Masail hain aur waqai main masail hain. Karachi to Quetta Road 40 saal tak nahi bani yahi haal Quetta to Zoab ka tha. but ab PAK chaina economic Door ki waja se yee dono roads ban chuke hain.
Acha, Lekin khan of kalat exile mein hai aur us nay bola hai ke kalat state ko zabardasti Pakistan ne qabza kiya hai, Magar meinay ek video dekha us ke betay ne kaha ke kalat state apni marzi se Pakistan join kiya, to woh log khud confuse hai.
Agar aap YouTube ya daily motion pe jaye to videos dekh sakhtahai Baloch students ke shezad Roy ke saath, us mein won kehtay hai ke woh Pakistan ka hisa nahi banna chahtehey, asay aur bhi videos hai...