What's new

Urdu conversation thread:

Kyun na kuch shayari ki jaye:

Kyun na apni khushi usse deita

Woh bohat hi udaas aya tha

Meri saans aik amanat thi

Main khud apna nahi paraya tha
 
Last edited:
Main insaaN hooN farishta nahiN
Dar hai bahek na jaooN kahiN

Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4
 
Haan, yeh toh hai, ab kya kiya ja sakta hai!

Dhaagey ko towujjo ka marqaz bnaney ke liye shayari bhi achha kheyal hai.....

Kyun na kuch shayari ki jaye:

Kyun na apni khushi usse deita

Woh bohat hi udaas aya tha

Meri saans aik amanat thi

Main khud apna nahi paraya tha

Main insaaN hooN farishta nahiN
Dar hai bahek na jaooN kahiN

Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4

Shayari tou kamaal ki thi aap dono ki, magr yaha´n angreyzi nahi istmaal honi chahiye, lihaaza.....

Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4

.... isska bhi tarjumah kardeyta hoo´n:

"Appney Galaxy Nexus sey bheyja, Tapatalk 4 istmaal kartey huey."

;-):P
 
Ab yeh Samsung walo ko se kaun Urdu bulwaye . ching pung chaun hoti tou alag baat thi .

Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4
 
Ab yeh Samsung walo ko se kaun Urdu bulwaye . ching pung chaun hoti tou alag baat thi .

Ye´h baat bhi theek hai.

Janaab, ye´h kal
Islamabad kya tamasha laga hua tha? Eik mussalah shakks ney poorey shehr ko yarr-ghamaal kiya hua tha! Bohatt sharam wali baat hai!
 
Apni biwi bache ko hi yarghamal bana kar islam impose karna chah raha tha . khiska huwa tha .

Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4
 
Apni biwi bache ko hi yarghamal bana kar islam impose karna chah raha tha . khiska huwa tha .

Isskey saamney aaney se ye´h nahi saabit hota ke ye´h eik tha, hummaarey mulk mey´n kaafi ziyada loug Zia-ul-Haq jaise logou´n ko apna hero maantey hai´n (saarey tou nahi, magr kaafi).
 
Last edited:
Zardari sahab ki taraf se drama tha suna hai ? PPP ke waare nyare ho gaye Zamrud Khan hero ban gaye .

Allah Zardari sahab ko sehat aur lambi umar daiN . Barey pyare lagte haiN .
 
Yaar! Hammarey mulk mey´n har cheez ko saazish kiyu´n samjha jata hai?! Eik haadsa bhi tou ho sakta hai ye´h.....

Allah Zardari sahab ko sehat aur lambi umar daiN . Barey pyare lagte haiN .

Mujhe bhi pyare lagtey hai´n:heart:, magr dunya waley unnko jeeney nahi detey:(.....
 
^ Indian dramoN ka kamal hai :nehra

Aik Zardari sab pe bhari . Jiye Bhutto .

I really do like him as a politician , I am not joking .
 
^ Indian dramoN ka kamal hai :nehra

Magr ye´h saas-bahu ke muamlaat aur mulki, beynal´aqwaami muamlaat mey´n farq hai. Hammari awaam ko dono ko farq ke saath deykhna hoga.

Aur, iss hee ke saath, aapne eik baar phir saazish ka ilzaam lagaya hai, aur hamesha ki tarha, ye´h bhi bhaarat pe:sachin.
 
Kal shaam eik ajeeb kaam hua. Meiney likhna/poochhna tha, "Kis film ka gaana hai?", tou ghalati se likh diya, "Kiss..... "

Larki thi, shayad samjhi hogi ke mey´n thark-pann dikha raha hoo´n, magr meiney wazaahat kardi thi, aur ussney maaf bhi kardiya.
 
Wese german language main therak-pann explain kerna zera bhai sahab :13:
 
Last edited:
Bhai, kissiko dil-chaspi hee nahi hai ke hummaari zubaan mey´n guftagu ki jaye:(.....

To kya khayal hai urdu commentary shuru ki jaye...Women Ashes Thread :13:

Naazreen ball boundary ki taraf rawan dawan mager beech main aik fielder ne aaker ball ko rok lya or Australian women team ko sirf 2 runs he mil sake :facepalm:
 
Us ne nahi kaha ke Kiss hi film ka gana hai

Nahi. Gaana Bollywood film 'Chocolate' ka tha: "Zehrili Raatei´n."

Uss larki ney meri sharafat pe aetbaar kiya, hala ke thorra naraaz shayad hui hogi.

Wese german language main therak-pann explain kerna zera bhai sahab :13:

Bhai, ab aapne bohatt mushkil lafz ke tarjumeyh ki guzarish ki hai. Baat ye´h hai na, eik sharafat iss qadr ragh-ragh mey´n bharri hai ke naa kabhi tharak-pann dikhaya hai, aur na hee kabhi kisi German larki ney koi ilzaam lgaya hai.

To kya khayal hai urdu commentary shuru ki jaye...Women Ashes Thread :13:

Naazreen ball boundary ki taraf rawan dawan mager beech main aik fielder ne aaker ball ko rok lya or Australian women team ko sirf 2 runs he mil sake :facepalm:

Commentary kuchh ziyada ajeeb lagti hai, magr ye´h Urdu akhbaar ka article kabhi nahi bhooleyga, jo huammarey poster W63L35 bhai ney post kiya tha......

68amwg.jpg

:heart:
 
Nahi. Gaana Bollywood film 'Chocolate' ka tha: "Zehrili Raatei´n."

Uss larki ney meri sharafat pe aetbaar kiya, hala ke thorra naraaz shayad hui hogi.

Bhai, ab aapne bohatt mushkil lafz ke tarjumeyh ki guzarish ki hai. Baat ye´h hai na, eik sharafat iss qadr ragh-ragh mey´n bharri hai ke naa kabhi tharak-pann dikhaya hai, aur na hee kabhi kisi German larki ney koi ilzaam lgaya hai.

Bhai sahab woh to theak hai but...ilzam shak ki bunyaad per lagaya jata hai...Yaqeen ki soorat main direct jootyan perti hain...

Commentary kuchh ziyada ajeeb lagti hai, magr ye´h Urdu akhbaar ka article kabhi nahi bhooleyga, jo huammarey poster W63L35 bhai ney post kiya tha......

:heart:

Uff kia jazbaati qisam ka mazmoon tha...
 
Bhai sahab woh to theak hai but...ilzam shak ki bunyaad per lagaya jata hai...Yaqeen ki soorat main direct jootyan perti hain...

Theek farmaya; magr aapki duao´n ke bdaulat ab tak jootiyo´n se bachcha hua hoo´n. Haa´n, meri masoomiyat ka faida zaroor utthaaney ki koshish karti rehti hai´n kuchh larkiya´n:amir.

Uff kia jazbaati qisam ka mazmoon tha...

Aaise angreyzi zubaam mey´likhey huey kaafi mazameen mere paas hai´n, jazbaat se bharrey huey. Unnkey takreeban har eik interview, videos, tasaveer waghera. Ab aur kya btao, ye´h meri kameez ki tasveer hee deykh lijiye, jo meiney ICC Women´s World Cup Final 2013 ke din pehni thi, satrah (17) farwaree, iss hee saal ki baat hai......

1z33yww.jpg

Ellyse Perry sahiba ney teen wickets li thi´n. Har wicket pe aisa lagta tha, jaise kisi ney mera nikah par teen baar "Qubool hai", "Qubool hai", "Qubool hai!" farmaya ho:heart:.
 
Theek farmaya; magr aapki duao´n ke bdaulat ab tak jootiyo´n se bachcha hua hoo´n. Haa´n, meri masoomiyat ka faida zaroor utthaaney ki koshish karti rehti hai´n kuchh larkiya´n:amir..[/I]

Kis qisam ka fayda uthane ki koshish kerti hain please explain :13: mera brain dusri taraf chala jata hai u know...

Yes shirt 2 din ke liay udhar mil skti hai pls? Pehen ker aik australian larki ko khush krna hai ;)

Ellyse Perry sahiba ney teen wickets li thi´n. Har wicket pe aisa lagta tha, jaise kisi ney mera nikah par teen baar "Qubool hai", "Qubool hai", "Qubool hai!" farmaya ho:heart:.

Lo g aap ne to 3 wicket ki khatir nikah be ker lya...
 
Kis qisam ka fayda uthane ki koshish kerti hain please explain :13: mera brain dusri taraf chala jata hai u know...

Bus ab itni tafseel matt maangiye bhai mere. Bus itna samajh lijiye, ke sharafat iss na-cheez par aa ke khatm hojati hai.

Yes shirt 2 din ke liay udhar mil skti hai pls? Pehen ker aik australian larki ko khush krna hai ;)

Tauba! Kabhi nahi! Ye´h muqaddas kameez meiney bhi sirf eik baar pehni hai, aur aap apne liye maang rahey hai´n? Zulm ki bhi hadd hoti hai!

Lo g aap ne to 3 wicket ki khatir nikah be ker lya...

Hahaha:)))! Bhai, mera matlab tha ke mujhe aisa mehsoos hua tha.
 
Last edited:
^ Hum yahaN sab sharif haiN , kharab na karne ki koshish karaiN .

Astaghfirullah:moyo! Bhai, kya cricket shareefo´n ka kaam nahi? Kaisi behki behki baatei´n kar rahey hai´n aap? Shadeed afsos aapki soch par:(!

LooneyReturns bhai, kya aapke Australia mey´n koi rishtadaar hai´n? Socha poochh liya jaye:P.
 
Yeh san unees sau biyasi ke dard e dil dard e jigar wale ashiq kyun bane ho bhai . email karo .

Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4
 
Yeh san unees sau biyasi ke dard e dil dard e jigar wale ashiq kyun bane ho bhai . email karo .

Bhai, ab zarra puraney kheyalaat wala hoo´n, kya karoo´n? Iss mey´n mazza aur nasha ziyada hota hai.

Agr unnka
email address hota tou kya mei´n aaj ka din charrhney deyta? Bohatt deyr pehley hee likh deyna thi.
 
YouTube pe video daal deo bana ke mazay aur nashay wali . bolo shaneira baji ke baad ab Pakistan ki bahu banne ka aizaz aap ko dena hai .

Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4
 
YouTube pe video daal deo bana ke mazay aur nashay wali . bolo shaneira baji ke baad ab Pakistan ki bahu banne ka aizaz aap ko dena hai .

Bhai bahu waghera nahi bnana hai, sirf peighaam pohanchana hai. Ye`h kaafi zaroori hai, meri ikk majboori hai.

Aap appney nikammey
ideas appney paas rakkhiye.
 
Is Dhagay ka naam tabdeel kar ke "Rawal aur Ellyse Perry Thread" rakh dena chahiye :))
 
Mazzaak urra rahey hai´n:(? Bhai, ab mujhe unnke ilawa koi baat hee nahi soojti tou kya kiya jaye:(?

Aap koi aur mozu shuru karei´n, mei´n haazir hoo´n:).
 
Nahin Rawal Bhai main to mazaak kar raha tha ye to bohat acha thread hai mujhe to abhi hi mila hai. :)
 
Mujhe ilm hai iss baat ka ke aap mazzaak kar rahey they:).

Kya kiya jaye, logou`n ko khaas dil-chaspi nahi hai iss dhaagey mey`n:(.
 
Mohabbat mujhay tum Se Nahin teray Kirdaar Se Hai....

Warna Haseen Loag toh Baazar Main Aam Mila Kartay Hain.
 
Wah! Kya shair hai!

Par, ab issey ikhtilaaf-e-rai kahoo´n ya "Ikhtilaaf-e-tajurbah", aisa itifaaq mere saath kabhi nahi´n hua. Ya phir shayad mujhe sabzi-manndee ke baahr nikla chahiye aise nazaaro´n se lutf-andoz honay ke liye.
 
Very nice Rawal :)

"Mujhay iktilaaf kab tha ke woh mujhse milne aaya karti thi

Lekin yeh woh intezar tha jo woh hamesha kiya karti thi."

Wah! Bohatt sheyr-o-shairy farma li aapne, ab Khuda ney ye mouqa frahm kiya hai tou mei´n bhi eik-dou sheyr aapki khidmat mey´n peysh kar hee deyta hoo´n:

"Teri adaao´n ka jaadu chal gya,
Bannda choolhey pe beytth ke jal gya."

"Teri nazro´n ne kiya dil chori,
Phir judai ne ki aisi kamzori,
Eik seyhat-mannd bannda bann gya bhindi tori."
 
Kya baat hai, lagta hai yeh jori bohat aagay tak jaye gyi :P Yeh aik aur shair arz karta hoon:

"Dil mera ik kitaab ki surat
Jis mein woh hai gulaab ki surat
Main kha'rri dupe'har ki tanhaai
Woh shab mehtaab ki surat."
 
Wah! Kamaal ki shairy hai! Ab mujhe bhi ijaazat dey´n:

"Qatl-o-ghaarat ke zamanay mey´n mohabbat karta hoo´n,
Tou kya hua agr usske bhai se darrta hoo´n?"
 
Hahaha, bohat acha!

Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha,
Kashti ke musafir ne Samundar nahi dekha.
 
Wah! Ye kaha`n se leykar aatey hai`n aise zabdast sheyr?

Meri taraf se aap sabko Eid Mubarak! Iss mubarak mouka pe eik khaas sheyr hojaye:

"Pehni thi Sherwani, lgayi hui thi
tie,
Uff meri kismat! Wo phir bhi bolgayi bhai!"
 
Bas doondne wale doond hi laite hain achey sheyr :) woh kehte hain ke doonde se toh khuda bhi milta jata hai yeh toh sheyr hain janab :D Aur Aap ki khidmat mein arz kar diya karte hain :)

App ko bhi Eid Mubarak, Aur umeed karta hoon ke acha din guzra hoga :)

Wafa ki jang mat Larna ye bekaar jati hai,

Zamana jeet jata hai mohabbat haar jati hai.
 
Mera din bhi bohatt achha guzra! Khoob tafreeh ki sab ney!

Sahi farmaya, dhoondney ko tou Khuda bhi miljata hai. Mujhe waisey bhi unn hazraat mey´n kaafi dil-chaspi hoti hai jo shairy ke shoukeen hotey hai´n. Ye sheyr shayad sabse achha tha. Zamana jeet ke hee rehta hai, jo marzi karley insaan.

Drasal, khaaksaar khud eik chhota-mota shayer hoo´n aur Angreyzi zubaan mey´n likhta hoo´n (kuchh sattaees ya atthaees nazmey´n likh rakkhi hai´n). Agr aap
'Time Pass' mey´n eik dhaaga dekhey´n tou wahaa´n abhi abhi kuchh pal qabl eik nazm peysh kar ke aya hoo´n.
 
Bohat khoob maine kabhi note nahi kiya ke "Time Pass" mein aik aur shairy thread hai, Wese mujhe shairy itni zaida pasand nahi, dil kiya toh kar leite hain pehle source nahi tha ab toh thread majood hai toh ab toh karni chahiye jab mouqa milta hai, aur wese bhi 2 minutes lagte hain post karne mein. Is mein koi aisi baat nahi, Aik aur shair arz kiya hai:

"Ji toh chahta hai ke mar jayein teri khatir "dost",
Magar darte hain ke marne ke baad tu kisi aur ka na ho jaye!"
 
Rawal, can you please edit my username? F ka latter barra aur 1 hatam karna hai.

Is tarah "Farhan".
 
Hmmm... Sir, that´s not allowed. We only change usernames for security reasons.
 
I have few issue there that's why I wanted mini changes, I saw members edited their usernames!

Why not possible in my case?
 
The other members´ usernames were changed because they told us solid reasons behind them. If we change usernames without a reason, we lose record of who is who etc. If there is still not clarity, let me know so that I may clarify in a private message:).
 
Ok, that's fine, probably I have to give a "solid reason" to change that.

Kya faida aise MOD ka jo dosre ke kaam na aye (Just kidding) :P

Anyway back to the thread, shairy pe wapis aa jana chahiye :)

"Jurtey huey dekha nahin toote huey dil ko,
Gir jayein jo aanso, uttaye nahin jaatey!"
 
Mei´n hoo´n hee eik nikammah moderator dosto´n ke liye, par farz ki adaigi mey´n imaan´daari laazim hai. Samjhota karney ka shukriya ada karta hoo´n:).

Wah! Eik baar azeem sheyr dhoonda hai aapne! Aapne tou iss dhaagey ko eik naya rukh dey diya hai.
 
Ok koi baat nahi, isi khushi mein aik aur ho jaye:

"Chala jata hoon kisi dhun mein,
Tarapte dil ke tarane liye,

Milan ki masti bari aankhon mein,
Hazaroon sapne suhane liye,

Yeh masti ke nazaare hain,
Toh aise mein sambalna kaisa meri kasam,

Jo lehrati dagarria ho toh phir kyun na,
Chalo main behka behka re,

Mera jeevan main yeh shaam aayi hai,
Mohabbat wale zamane liye!"
 
Wah bhai! Ye tou bilkul eik gaaney jaisa lagta hai. Achhi, balkey bohatt achhi shairy! Ab meri baari:

"Wo tou bachchpan ki baatey`n thi jab khaatey thay toffee,
Umr ka lihaaz kar, bna dou cup coffee."
 
Haan, yeh gaana hi toh hai :)) mujhe acha laga maine likh diya, aap ki tarah ka aik shair arz hai:

"Waqt, saban aur pani bachaya jaye,
Kya zaroori hai ke har rooz nahaya jaye!"
 
Ye baat mere ilm mey´n thi ke ye eik gaana hee hai, iss hee liye tou aise kaha meiney:P.

Wah! Eik zabrdast sheyr tha ye tou. Meri zaati rai tou ye hee hai ke har saal dou baar nahaana hee insaani jism ke liye mufeed hai. Iss se paani aur saabun waghera ki bhi bachchat hojati hai.

"Agr wo nikli bewafaa tou na ro
Rawal,
Chalo beyta, aankhei`n saaf karo, khao daal-chaawal."
 
Aik aur awain shair sona diya apne :P chalo main bhi koshish karta hoon: (Apna banaya hua shair :D)

"Jab bhi main guzarta woh mera rasta dekha karti,
Lekin pass aake pata chala ke woh kisi aur ko dekha karti thi!"
 
Arrey janaab wah! Aapke sheyr ney tou dil jeet liya! Jhooti tareef nahi´n kar raha, yakeen kijiye. Chaley´n, ab aapse jazba haasil kartey huey, mei´n bhi eik sanjeeda sheyr likhney ki koshish karta hoo´n, umeed hai ke pasannd ayega aapko:

"Judai bhi aisi thi ke eik aansu bhi na gira,
Ye aankhei´n namm hojati tou hum unnko kaise dekhtey?"
 
Bohat khoop janab, main BHI aik shair arz karta hoon:

"Chalo yeh zindagi ab hum tumhare naam karte hain,

Suna hai bewafa ki bewafa se khoob banti hai"
:P
 
Bhaiyo aur behno, eik zaroori aeylaan:

Mera peighaam
Ellyse Perry ji tak pohanch gya hai:135:! Mei´n iss maqsad mey´n kaamyab hogya hoo´n. Du ein aur mehnat ranng ley ayi´n.

Mutaliqah
posts:
http://www.pakpassion.net/ppforum/showpost.php?p=6248734&postcount=1490
http://www.pakpassion.net/ppforum/showpost.php?p=6257456&postcount=1496

Parrhney ka aur khushi mey´n shareek honay ka shukriya ada karta hoo´n:).

Bohat khoop janab, main BHI aik shair arz karta hoon:

"Chalo yeh zindagi ab hum tumhare naam karte hain,

Suna hai bewafa ki bewafa se khoob banti hai"
:P

Wah ji wah!
 
Koi yahaN Urdu novels aur stories parha karta hai ya tha ?

Umroo Ayyar ki kahaniaN ? Imran series ? Inspector Jamshed series ? Taleem o tarbiat ? Naunehal ? BachoN ki duniya ? Itne risalay jama kiye thay ke bas ! :inzi

Hum baqayeda lara kartay thay in pe , khas tor se jab ' khas numbers ' nikla kartay thay . Library se kiraye pe li hoti thi , jaldi jaldi parhni bhi hoti thi akhir . Hakeem Said aur Masood Ahmed Barkati ko khat bhi likhay .
 
Kal shaam eik ajeeb kaam hua. Meiney likhna/poochhna tha, "Kis film ka gaana hai?", tou ghalati se likh diya, "Kiss..... "

Larki thi, shayad samjhi hogi ke mey´n thark-pann dikha raha hoo´n, magr meiney wazaahat kardi thi, aur ussney maaf bhi kardiya.
Laam wow laam. Aik dafa mein ney net pey dost ko likha "pak kab ao gay" . us ney bhut bura manaya aur ghuss kia. Pata chala wo GAY angrezi wala samjha.
 
Wah, kya waaqya sunaya hai:)))! Mere saath khud aise haadsaat peysh aatey rehtey hai´n meri masoomiyat ki wajha se. Jaisa ke kisi Pakistani Masihi ki shaadi thi jis mey´n meiney bhi shirkat ekhtyaar ki. Jab paadri sahib ney mubarakbaad di tou eik romantic lamha aya tou mei´n peechhey se bola, "Kalley kalley ee?!"

Mera mazzaak kisiko pasannd nahi´n aya aur sab ney khaamoshi ekhtyaar karli.
 
Kitnay suhaanay din hongay yei bhi jab jab log apas mei hindustan pakistan or hindu musalman k elawa bhi kisi qism ki guftugoo kia kartay hongay.
 
Back
Top