DHONI183
A departed friend who will live in our memories fo
- Joined
- Aug 23, 2007
- Runs
- 24,842
- Post of the Week
- 8
Kia karaiN ge bhai ?
http://www.pakpassion.net/ppforum/showthread.php?p=5781772#post5781772
Kya ye´h comedy kum thi

Follow along with the video below to see how to install our site as a web app on your home screen.
Note: This feature may not be available in some browsers.
Kia karaiN ge bhai ?
DHONI183 said:Kia karaiN ge bhai ?
http://www.pakpassion.net/ppforum/showthread.php?p=5781772#post5781772
Kya ye´h comedy kum thi?
Lagta hai mahine bar se kisi ne post nahi kiya.
Haan, yeh toh hai, ab kya kiya ja sakta hai!
Kyun na kuch shayari ki jaye:
Kyun na apni khushi usse deita
Woh bohat hi udaas aya tha
Meri saans aik amanat thi
Main khud apna nahi paraya tha
Main insaaN hooN farishta nahiN
Dar hai bahek na jaooN kahiN
Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4
Sent from my Galaxy Nexus using Tapatalk 4
Ab yeh Samsung walo ko se kaun Urdu bulwaye . ching pung chaun hoti tou alag baat thi .
Apni biwi bache ko hi yarghamal bana kar islam impose karna chah raha tha . khiska huwa tha .
Zardari sahab ki taraf se drama tha suna hai ? PPP ke waare nyare ho gaye Zamrud Khan hero ban gaye .
Allah Zardari sahab ko sehat aur lambi umar daiN . Barey pyare lagte haiN .
^ Indian dramoN ka kamal hai![]()
Kal shaam eik ajeeb kaam hua. Meiney likhna/poochhna tha, "Kis film ka gaana hai?", tou ghalati se likh diya, "Kiss..... "
Larki thi, shayad samjhi hogi ke mey´n thark-pann dikha raha hoo´n, magr meiney wazaahat kardi thi, aur ussney maaf bhi kardiya.
Bhai, kissiko dil-chaspi hee nahi hai ke hummaari zubaan mey´n guftagu ki jaye.....
Us ne nahi kaha ke Kiss hi film ka gana hai
Wese german language main therak-pann explain kerna zera bhai sahab![]()
To kya khayal hai urdu commentary shuru ki jaye...Women Ashes Thread
Naazreen ball boundary ki taraf rawan dawan mager beech main aik fielder ne aaker ball ko rok lya or Australian women team ko sirf 2 runs he mil sake![]()
Nahi. Gaana Bollywood film 'Chocolate' ka tha: "Zehrili Raatei´n."
Uss larki ney meri sharafat pe aetbaar kiya, hala ke thorra naraaz shayad hui hogi.
Bhai, ab aapne bohatt mushkil lafz ke tarjumeyh ki guzarish ki hai. Baat ye´h hai na, eik sharafat iss qadr ragh-ragh mey´n bharri hai ke naa kabhi tharak-pann dikhaya hai, aur na hee kabhi kisi German larki ney koi ilzaam lgaya hai.
Commentary kuchh ziyada ajeeb lagti hai, magr ye´h Urdu akhbaar ka article kabhi nahi bhooleyga, jo huammarey poster W63L35 bhai ney post kiya tha......
![]()
Bhai sahab woh to theak hai but...ilzam shak ki bunyaad per lagaya jata hai...Yaqeen ki soorat main direct jootyan perti hain...
Uff kia jazbaati qisam ka mazmoon tha...
Theek farmaya; magr aapki duao´n ke bdaulat ab tak jootiyo´n se bachcha hua hoo´n. Haa´n, meri masoomiyat ka faida zaroor utthaaney ki koshish karti rehti hai´n kuchh larkiya´n..[/I]
Ellyse Perry sahiba ney teen wickets li thi´n. Har wicket pe aisa lagta tha, jaise kisi ney mera nikah par teen baar "Qubool hai", "Qubool hai", "Qubool hai!" farmaya ho.
Kis qisam ka fayda uthane ki koshish kerti hain please explainmera brain dusri taraf chala jata hai u know...
Yes shirt 2 din ke liay udhar mil skti hai pls? Pehen ker aik australian larki ko khush krna hai![]()
Lo g aap ne to 3 wicket ki khatir nikah be ker lya...
Lo g aap ne to 3 wicket ki khatir nikah be ker lya...
^ Hum yahaN sab sharif haiN , kharab na karne ki koshish karaiN .
^ Nahi bhai nahi .
Yeh san unees sau biyasi ke dard e dil dard e jigar wale ashiq kyun bane ho bhai . email karo .
YouTube pe video daal deo bana ke mazay aur nashay wali . bolo shaneira baji ke baad ab Pakistan ki bahu banne ka aizaz aap ko dena hai .
Is Dhagay ka naam tabdeel kar ke "Rawal aur Ellyse Perry Thread" rakh dena chahiye![]()
Nahin Rawal Bhai main to mazaak kar raha tha ye to bohat acha thread hai mujhe to abhi hi mila hai.![]()
Khidar gye sab, koi hai yahaan par?![]()
Mohabbat mujhay tum Se Nahin teray Kirdaar Se Hai....
Warna Haseen Loag toh Baazar Main Aam Mila Kartay Hain.
Mujhay iktilaaf kab tha ke woh mujhse milne aaya karti thi
Lekin yeh woh intezar tha jo woh hamesha kiya karti thi
Very nice Rawal
"Mujhay iktilaaf kab tha ke woh mujhse milne aaya karti thi
Lekin yeh woh intezar tha jo woh hamesha kiya karti thi."
Wah! Bohatt sheyr-o-shairy farma li aapne, ab Khuda ney ye mouqa frahm kiya hai tou mei´n bhi eik-dou sheyr aapki khidmat mey´n peysh kar hee deyta hoo´n:
"Teri adaao´n ka jaadu chal gya,
Bannda choolhey pe beytth ke jal gya."
"Teri nazro´n ne kiya dil chori,
Phir judai ne ki aisi kamzori,
Eik seyhat-mannd bannda bann gya bhindi tori."
Kya baat hai, lagta hai yeh jori bohat aagay tak jaye gyiYeh aik aur shair arz karta hoon:
"Dil mera ik kitaab ki surat
Jis mein woh hai gulaab ki surat
Main kha'rri dupe'har ki tanhaai
Woh shab mehtaab ki surat."
Wah! Kamaal ki shairy hai! Ab mujhe bhi ijaazat dey´n:
"Qatl-o-ghaarat ke zamanay mey´n mohabbat karta hoo´n,
Tou kya hua agr usske bhai se darrta hoo´n?"
Hahaha, bohat acha!
Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha,
Kashti ke musafir ne Samundar nahi dekha.
Wah! Ye kaha`n se leykar aatey hai`n aise zabdast sheyr?
Meri taraf se aap sabko Eid Mubarak! Iss mubarak mouka pe eik khaas sheyr hojaye:
"Pehni thi Sherwani, lgayi hui thi tie,
Uff meri kismat! Wo phir bhi bolgayi bhai!"
Bas doondne wale doond hi laite hain achey sheyrwoh kehte hain ke doonde se toh khuda bhi milta jata hai yeh toh sheyr hain janab
Aur Aap ki khidmat mein arz kar diya karte hain
App ko bhi Eid Mubarak, Aur umeed karta hoon ke acha din guzra hoga
Wafa ki jang mat Larna ye bekaar jati hai,
Zamana jeet jata hai mohabbat haar jati hai.
Mera din bhi bohatt achha guzra! Khoob tafreeh ki sab ney!
Sahi farmaya, dhoondney ko tou Khuda bhi miljata hai. Mujhe waisey bhi unn hazraat mey´n kaafi dil-chaspi hoti hai jo shairy ke shoukeen hotey hai´n. Ye sheyr shayad sabse achha tha. Zamana jeet ke hee rehta hai, jo marzi karley insaan.
Drasal, khaaksaar khud eik chhota-mota shayer hoo´n aur Angreyzi zubaan mey´n likhta hoo´n (kuchh sattaees ya atthaees nazmey´n likh rakkhi hai´n). Agr aap 'Time Pass' mey´n eik dhaaga dekhey´n tou wahaa´n abhi abhi kuchh pal qabl eik nazm peysh kar ke aya hoo´n.
Rawal, can you please edit my username? F ka latter barra aur 1 hatam karna hai.
Is tarah "Farhan".
Hmmm... Sir, that´s not allowed. We only change usernames for security reasons.
I have few issue there that's why I wanted mini changes, I saw members edited their usernames!
Why not possible in my case?
The other members´ usernames were changed because they told us solid reasons behind them. If we change usernames without a reason, we lose record of who is who etc. If there is still not clarity, let me know so that I may clarify in a private message.
Ok, that's fine, probably I have to give a "solid reason" to change that.
Kya faida aise MOD ka jo dosre ke kaam na aye (Just kidding)
Anyway back to the thread, shairy pe wapis aa jana chahiye
"Jurtey huey dekha nahin toote huey dil ko,
Gir jayein jo aanso, uttaye nahin jaatey!"
Ok koi baat nahi, isi khushi mein aik aur ho jaye:
"Chala jata hoon kisi dhun mein,
Tarapte dil ke tarane liye,
Milan ki masti bari aankhon mein,
Hazaroon sapne suhane liye,
Yeh masti ke nazaare hain,
Toh aise mein sambalna kaisa meri kasam,
Jo lehrati dagarria ho toh phir kyun na,
Chalo main behka behka re,
Mera jeevan main yeh shaam aayi hai,
Mohabbat wale zamane liye!"
Wah bhai! Ye tou bilkul eik gaaney jaisa lagta hai. Achhi, balkey bohatt achhi shairy! Ab meri baari:
"Wo tou bachchpan ki baatey`n thi jab khaatey thay toffee,
Umr ka lihaaz kar, bna dou cup coffee."
Haan, yeh gaana hi toh haimujhe acha laga maine likh diya, aap ki tarah ka aik shair arz hai:
"Waqt, saban aur pani bachaya jaye,
Kya zaroori hai ke har rooz nahaya jaye!"
Ye baat mere ilm mey´n thi ke ye eik gaana hee hai, iss hee liye tou aise kaha meiney.
Wah! Eik zabrdast sheyr tha ye tou. Meri zaati rai tou ye hee hai ke har saal dou baar nahaana hee insaani jism ke liye mufeed hai. Iss se paani aur saabun waghera ki bhi bachchat hojati hai.
"Agr wo nikli bewafaa tou na ro Rawal,
Chalo beyta, aankhei`n saaf karo, khao daal-chaawal."
Aik aur awain shair sona diya apnechalo main bhi koshish karta hoon: (Apna banaya hua shair
)
"Jab bhi main guzarta woh mera rasta dekha karti,
Lekin pass aake pata chala ke woh kisi aur ko dekha karti thi!"
Arrey janaab wah! Aapke sheyr ney tou dil jeet liya! Jhooti tareef nahi´n kar raha, yakeen kijiye. Chaley´n, ab aapse jazba haasil kartey huey, mei´n bhi eik sanjeeda sheyr likhney ki koshish karta hoo´n, umeed hai ke pasannd ayega aapko:
"Judai bhi aisi thi ke eik aansu bhi na gira,
Ye aankhei´n namm hojati tou hum unnko kaise dekhtey?"
Bohat khoop janab, main BHI aik shair arz karta hoon:
"Chalo yeh zindagi ab hum tumhare naam karte hain,
Suna hai bewafa ki bewafa se khoob banti hai"![]()
How do you know it reached her ?
Laam wow laam. Aik dafa mein ney net pey dost ko likha "pak kab ao gay" . us ney bhut bura manaya aur ghuss kia. Pata chala wo GAY angrezi wala samjha.Kal shaam eik ajeeb kaam hua. Meiney likhna/poochhna tha, "Kis film ka gaana hai?", tou ghalati se likh diya, "Kiss..... "
Larki thi, shayad samjhi hogi ke mey´n thark-pann dikha raha hoo´n, magr meiney wazaahat kardi thi, aur ussney maaf bhi kardiya.
Laam wow laam. Aik dafa mein ney net pey dost ko likha "pak kab ao gay" . us ney bhut bura manaya aur ghuss kia. Pata chala wo GAY angrezi wala samjha.