Shayari

Ehde Jawani main humne, dekhe te kuck khwaab suhane
Eik naee dunya ke fasaane, eik naee dunya ke taraane
Aisi dunya jis me koi, dukh na jele, bookh na jaane

Eik taraf thi janta saari, eik taraf the chand gharaane
Eik taraf the bookhe nange, eik taraf kaarooh ke khazaane
Eik taraf thii maa'e behne, eik taraf tehseel aur thaane
Eik taraf thii teesri dunya, eik taraf beedaad puraane
Eik taraf saachel aur baahu, eik taraf mullah aur maslak
Eik taraf the heer aur ranja, eik taraf bedaad puraane

Saari dunya pooch rahi thi, bolo ab tum saath ho kis ke, hum ye bawwar ker bethe hain sub saathi hai mazdooro ke, sub haami hain majbooro ka, sub saathi hain mehkoomo ke

Chi ne jub ik, jakht lagai, hum bhi uss ke saath chalete, Chu ne jab awaaz utai haath me daale haath chale the....mazhab ki tafreek nahi thi aur hum saare Eik hue the

Dunya ki tareekh gawa hai, Adal bina Jamur na hoga Adal hua to Des hamara kabhi na chak na choor na hoga, Adal bina kamzor idaare Adal binda kamzor ikayya, Adal bebus har shehri Adal binda har simth duhaya
Dunya ki taareekh main socho kub se munsif qaeed hua hai, Aamer ki apni hi ana se Adal yaha na paeed hua hai, kyun lagta hai eik hi taaqat Arze-Khuda be ghoom raha hai, kyun lagta hai eik he kuuwat khaam is pe jhoom raha hai
Iss ki bombaari ke baais khoon me sub labrez hue hain, Muzhab me shiddad aai hai Khud-khush jung-ju tez hue hai

Adal ke iwaano main sunlo asli mumsif phir aaaaege, roti kapra aur ghar apna Janta ko hum dilwaaege, aata bigli paani giidhen sub ko saste daam milega beerozgaro ko har mumkim roozgaar aur kaam milga
Riyasat hogi Maa ki jaise, har shehri se pyaar karegi...Fauk lage ki SUB ko achi sub Sarhad ke paass rahe gi

Jao jao sub se kehdo kadam hamare ruk nahi sakte, jao jao sub se kehdo apme sir ab jukh nahi sakte
Rasta thora hi baaki hai dekho dekho voh manzil hai
Zaalim dhar ke bhaag raha hai, Jeet hamara mustaqbil hai
 
Duur se dekha, anda ubhal raha tha
Duur se...dekha...anda ubhal raha tha

Aagey jaa ke dekha...
Ganja uchhal raha tha


:inti
 
Raghon mein dorne phirne ke hum naheen hain qaael,
Jab aankh hee se na tapka to phir lahoo kya hai.

-Ghalib
 
Waqif nahi hai tu mere junoon se.........
Waqif nahi hai tu mere junoon se.........
Nehla kar rakh duinga tujhe
tere hi koon se.
 
tum meray ankho kai tewar na bhula paoo gay
ankahai bat ko samjho gay tho yaad aoonga
 
aaj tho bohut khush ho mehfil yaran main
kal jo toot kai bhikroogay tho yaad aoonga
 
jab ishq sikhata hai adabe khudagahi
khultay hai ghulamo par asrar shehnshai
no meed na ho in se ay rehbar farzana
kam kosh tho hai leken bezok nahi rahi
ay tahir la ooti,us rizq se mout achi
jis rizq se ati ho parwaz main kotahi
aeen jawan marda,haq goii o bebaki
ALLAH kai shero ko aati nai roobahi
 
Ibn-e-Insha's work always haunts me. This nazm below gives me goosebumps every time I read it:



Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo
Yaan tou aatay hain musaafir, so chalay jatay hain

Haan yehi naam thaa, kuch aesa hi chehra muhraa
Yaad parrta hai keh aayaa thaa musaafir koii
Soonay aangan main phira karta thaa tanha tanha
Kitni gehrii thii nigaahon kii udaasi uss kii
Log kehtay they keh hoga koii aaseb-zadda
Hum nay aesii bhii koii baat naa uss main dekhii

Yeh bhi himmat na hoii, paas bithaa key poochain
Dil yeh kehta thaa koii dard ka maara hoga
Lout aayaa hai jo aawaaz na uss kii paaii
Jaanay kiss dar peh kissay jaa key pukaara hoga
Yaan tou her roz kii baatain hain yeh jeetain maatain
Yeh bhi chaahat key kisi khail main hara hoga

Aik tasveer thii, kuch aap say miltii jultii
Aik tehreer thii, per iss ka tou qissa chorro
Chand ghazlain theen keh likheen, kabhi likh kar kaateen
Shair achay they, jo sun lo tou kaleja thaamo
Bus yehii haal musaafir ka thaa, hum nay dekhaa
Jaanay kiss raah main kiss shakhs nay loota uss ko

Guzra kartay hain sulagtay howay baaqi ayyaam
Log jub aag lagatay hain bujhaatay bhi nahin
Ajnabi peet kay maaron say kisi ko kya kaam
Bastiyon walay kabhi naaz uthaatay bhi nahin
Cheen laitay hain kisi shakhs say ji ka aaraam
Phir bulaatay bhi nahin, paas bithaatay bhi nahin

Aik din subh jo dekhaa tuo saraaye main na thaa
Jaanay kis dais gyaa hai woh divana dhoondo
Hum say poocho tou na aaye ga woh janay wala
Tum tou na-haq ko bhataknay ka bahaana dhoondo
Yaan tou aayaa jo musaafir younhii shab-bhar thehra
Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo
 
I would also be interested to know if anyone writes themselves. I used to, many many years ago, both in Urdu and Punjabi. Haven't done so for a long long time though. I'll see if I can find some of my own stuff and post it.
 
Wo ker rahay thay apni Wafayon ka tazkara

Daikha mujay to baat ka pahlo badal gayay !
 
This one is by Mir Taqi Mir

Ashk aaNkhoN maiN kab nahi aata
Lahoo aata hai jab nahi aata

Hosh jaata nahi raha lekin
jab woh aata hai tab nahi aata

Dil se rukhsat huwi koi khwahish
Giryya kuch besabab nahi aata
 
Last edited:
Kabhi to ki hogi suraj ne chand say mohabbat
Tabhi to chand mein daagh hay,

Mumkin hai ke chand ne ki hogi bewafai
Tabhi to suraj mein aag hay.
 
This one is by Mir Taqi Mir

Ashk aaNkhoN maiN kab nahi aata
Lahoo aata hai jab nahi aata

Hosh jaata nahi raha lekin
jab woh aata hai tab nahi aata

Dil se rukhsat huwi koi khwahish
Giryya kuch besabab nahi aata

Now thats what I'm talking about!!

:apprentice-contestant-I-can't-remember-the-name-of
 
Another old favorite of mine:

bohat dino ki baat hai
fiza ko yaad b nahi
yeh baat aaj ki nahi
bohat dinoo ki baat hai
shabab par bahar thi
fiza b khush gawar thi
najanay kyon machal para
main apnay ghar se chal para
kisi ne muj ko rokk kar
bari ada se tokk kar
kaha tha loat aiyee
meri kasam na jaiyee

mager muje khabar na thi
mahool pe nazar thi
najanay kyon machal para
main apnay ghar se chal para

main shehar se phir aa geya
khayal tha k pa geya
ossay jo muj se door thi
mager meri zaror thi

aur ek haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
muje bari khushi hoi
main kuch isi khushi mein tha
kisi ne jhaank kar kaha
paraaye ghar se jaiyee
meri kasam na aiyee

wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hon ghar ko chhor kar
najanay jaoon ga kidhar
koi nahi jo rokk kar
koi nahi jo tokk kar
kahay k loat aiyee
meri kasam na jaiyee
meri kasam na jaiyee
 
Another classic from Ibn-e-Insha. Boy that guy knew how to send shivers down your spine!

Farz karo hum ahl-e-wafa hon, farz karo deewaney hon
Farz karo yeh donoon baatein, jhooti hon, afsaney hon

Farz karo yeh jee ki bapta, jee se jaur sunai ho
Farz karo abhi aur ho itnee, aadhi hum ne chupai ho

Farz karo tumhein khush karney ke dhoondey hum ne bahaaney hon
Farz karo yeh nain tumhaarey, sach much ke maikhaaney hon

Farz karo yeh raug ho jhoota, jhooti peet humaari ho
Farz karo is peet ke raug mein saans bhi hum pe bhaari ho

Farz karo yeh jaug bajaug ka hum ne dhaung rachaya ho
Farz karo bas yehi haqeeqat, baaqi sab kuch maya ho!

Dekh meri jaan, keh gaye Bahoo, kaun diloon ki jaaney, Hoo
Basti basti, sehra sehra, laakhoon karey divaaney, Hoo

Jaugi bhi jo nagar nagar mein maarey maarey phirtey hain
Kaasa liyey, bhabhoot ramaye, sab ke dwaarey phirtey hain

Shair bhi, jo meethi baani baul ke dil ko hartey hain
Banjaarey jo oonchey daamon jee ke saudey kartey hain

Inn mein suchey mauti bhi hain, in mein kankar pathar bhi
Inn mein uthley paani bhi hain, inn mein gehrey saaghir bhi

Gauri dekh ke aagey barhna, sab ka jhoota sacha, Hoo
Doobney waali doob gai woh, gharra tha jis ka kacha, Hoo
 
Kya ho gaya KK Bhai? Aap ki Urdu Mashallah bohat achi hai. Agar kuch mushkil hai to bataiyey, ho saka to fidvee aap ki maddad karney ki koshish karey ga.
 
Ace bhai, mujhe shayari parhne ka shok hai, magar samajh nahi aa rahi yaar. :basit
 
Chalo k Raat hui ab loatna hai mujhy…
K mere ghar pe Muntazir hai meri Tanhai.
 
Does shokhiyan mean color?

ages ago I saw some bolly movie where the main character says a joke like "Jawaani ki shokhiyaan budhape ke...." cant remember what it was...
 
Adhoori saans thi..dharkan adhoori thi.
Adhooray thay hum.

Aur ab chaand poora hai falak pe.
Aur ab pooray hain hum


-

:D

This was my entry..I'll post genuine ones later. :D
 
Kal hum ne bazm e yar maiN kia kia sharab pi
Sehra ki tishnagi thi sau darya sharab pi :asif
ApnoN ne tajj dia hai tou ghairoN maiN ja ke baith
Ae khanmaN kharab ! na tanha sharab pi :butt
Do soortaiN haiN yaaroN dard e firaaq ki
Ya us ke ghum maiN toot ke roya sharaab pi
Ik meherbaaN buzurg ne yeh mashwara dia
Dukh ka koi ilaaj nahi , ja sharaab pi :amir

- Ahmed Faraz
 
Bohat khoob Looney Bhai ... bohat hi achey! Kuch Faraaz Sahib ne kamaal ki to baaki qasar aap ne nikaal di ... :yk
 
Ace bhai, mujhe shayari parhne ka shok hai, magar samajh nahi aa rahi yaar. :basit

Arey to hum kiss liye hain Sahib. App kehiyey to, kahey ki mushkil hai? Jo samajh nahi aya, bilaa takalluff o bilaa jhijhak pooch lejiyey. Agar mein nahi to koi aur dost aap ki maddad kar de ga. Achee Urdu Shayree jaisee khoobsoorat cheezein kam hi hain duniya mein. Yeh dil ke aisey taaroon ko cheeirtee hai ke jinn ke wajood ka khayaal bhi nahi hota bandey ko aur aisey jazbaat o ehsaasaat ko jagaati hai ke jin ka bayaan mushkil hai.

Issey parhiyey, samajhiyey aur mehsoos kejiyey aur agar is silsaley mein mein ya koi aur aap ki maddad kar sakey to zaroor zaroor pooch lejyey ga.
 
Does shokhiyan mean color?

ages ago I saw some bolly movie where the main character says a joke like "Jawaani ki shokhiyaan budhape ke...." cant remember what it was...

Shokhiyaan, if literally translated, means the act of showing off, or to proudly display an attribute or posession, to strut ones stuff basically. In this context, Jawaani Ki Shokhiyaan can be taken as the exuberance, physical attraction, playfullness, flirtiness and mischief of youth.
 
using it in a couple of sentences for you

yaar , zyada shokhi na ban :asif or subah subah itne shokh rang ? :ekdin

bohot shukria ace bhai/behen :D
 
Last edited:
Zamane ke dar se unki tasveer bathroom mein chupa rakhi hai
Bar bar jana parey, islye eik julab ki goli kaha rakhi hai.
 
Ibn-e-Insha

Aik chota sa larka tha main jin dinon,
Aik mailay main pohoncha humakta hua,
Ji machhalta tha ik ik shay pe magar,
Jaib khali thi kuch mol lay na saka,
Lot aya liye hasratain sainkron,
Aik chota sa larka tha main jin dinon,

Khair mahroomiyon k wo din to gaye,
Aaj maila laga hai usi shan say,
Aaj chahoon to ik ik dukan mol loon,
Aaj chahoon to sara jahan mol loon,
Na-rasai ka ab ji main dharka kahan?
Par wo chota sa alhar sa larka kahan.
 
Arey to hum kiss liye hain Sahib. App kehiyey to, kahey ki mushkil hai? Jo samajh nahi aya, bilaa takalluff o bilaa jhijhak pooch lejiyey. Agar mein nahi to koi aur dost aap ki maddad kar de ga. Achee Urdu Shayree jaisee khoobsoorat cheezein kam hi hain duniya mein. Yeh dil ke aisey taaroon ko cheeirtee hai ke jinn ke wajood ka khayaal bhi nahi hota bandey ko aur aisey jazbaat o ehsaasaat ko jagaati hai ke jin ka bayaan mushkil hai.

Issey parhiyey, samajhiyey aur mehsoos kejiyey aur agar is silsaley mein mein ya koi aur aap ki maddad kar sakey to zaroor zaroor pooch lejyey ga.

haha janab aapki Urdu ki jitni tareef ki jaye kam hai. Maine aap ki baat bare ghour se parhi aur samajhne ki koshish ki, aur samajhne ke baad main apne jazbad ko kabo nahi rakh saka aur kehkahe marne pe majboor ho gaya. Aur yaqeenan agar mujhe koi alfaz ya hurf samajh nahi ayein gay toh main zaroor aapki madad talab karne main hichkichahat mehsoos nahi karonga.


:afridi
 
Zindagi toh hum bhi jee rahay thay,
Leykin taqdeer humari kharab nikli
Taj Mahal hum bhi bana sakte thay,
Magar Mumtaz humari bewafa nikli !

wah wah wah wah wah :14:
 
LOL VM. Ab yeh sama'at kejiyey:

Pind ke puraaney bohr thalley hum ishq laraya kartey they
Woh paandey maanjha karti thi hum Majh navaahya kartey they

Woh har kaam mein aagey thee, hum har kaam mein paadee they
Woh sabaq mukaa ke beh jaati hum pencil gharya kartey they

Meri Beybey us ke ghar jab rishta le ke pohanchi
Woh College jaya karti thi hum Dass mein parhiya kartey they

Garmiyon mein, shikkar dopehri, amb pe charhiya kartey they
Akh sujj paraula ho jaati jab deemoo larriya kartey they

Pind ke sarkandey thalley jab woh milney aati thee
Gaama, Maajha, Saajha, Feeka muft mein sarriya kartey they

Khalid Masood Sahib ka ik nihait munfarid andaaz hai shairee ka. Woh Urdu aur Punjabi ko aisee khoobsoorti se aik doosrey mein munaddim kartey hain ke kamaal kartey hain.

@KK Bro, Meri urdu ko Maska maarney ki zaroorat nahi hai Sahib, hahaha. Aur aap ki Urdu itnee bhi buree nahi hai, mujhey to aap zara sey meesney lagtey ho ...
 
I got a bit lost there ace. Perhaps because of the punjabi :(
I like the one in post 17.
 
har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumhee kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai?


na shole meiN yeh karishma na barq (lightning) meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo (angry behavior) kya hai?
 
Woh humein bewafa kehte hain, kehte rahein
Woh humein bewafa kehte hain, kehte rahein


Mummy kehti hain, jo bolta hai wo khud i hota hai :p
 
LOL FC!!

Bohat achey KK Bhai!


Arey keh ke boley to arz mein ne "Yeh adaab-e-ahl-e-jahaan to nahi hai?"
To jhunjhula ke boley "Arey teri izzat jahaan hai wahaan hai yahaan to nahi hai!!"
 
vah ace bhai vah


here are some two liners.

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon Se
Khushbu Aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se


In Hi Patharon Pe Chal Ke, Aaa Sako To Aao
Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi


Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah


Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi


Tere Aazad Bande Ki, Na Yeh Duniya Na Woh Duniya
Yahan Jeene Ki Pabandi, Wahan Marne Ki Pabandi


Tu Aatish-E-Dozakh Se Darata Hai Jin hain
Woh Aag Ko Pee Jate Hain Paani Kar Ke


Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai


Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain


Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum lol


Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare. lol uff


Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay


Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le, Tujhko Sawaab Hoga
 
har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumhee kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai?


na shole meiN yeh karishma na barq (lightning) meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo (angry behavior) kya hai?

mujhe yeh bohot pasand hai . jagjit singh ne bhi acha gaya hai iss ko .
 
ace , where you from in Pakistan , if you dont mind me asking
 
Of course I don't mind you asking Looney Mian. I'm a Mirpuriya! Surprised? Lol so was I!!!
 
Chalo kuch din duniya chhor dete hain Faraz
Suna hai loag bara yaad karte hain chalay jaanay kay baad.
-

Duniya aik ajab saraye-faani* dekhi
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi.
Jo aakay na jaaye woh burhapa dekhaa.
Jo jakay na aaye ..woh jawaani dekhi.


-

*Faani- derived from Fanaa, means to perish.
Saraaye refers to a place where travelers rest.
 
Ace bhai , do you understand Bulleh shah's poetry ?

And has anyone got Sachal Sarmast's poetry ? I would seriously love to read and understand their work . And Jelaluddin rumi and Omar Khayyam too . :D
 
I do understand a majority of it. Some of it is a bit too pure and my ignorance gets the better of me. Bulleh Shah's poetry is amazing as are all the works of our Sufi Poets like Mian Mohammed Bakhsh, Sakhi Sultan Bahoo, Waris Shah and Khwaja Ghulam Farid.

Kajjal da ki paona ni jehraa neel vaggey rurr jaavey
Kach da ki paona ni jehraa thaiss laggey tutt jaavey
Rang da ki laona ni jehraa boond payee leh jaavey
Aashiq da ki maan ve Bulleya, jinoon chirdak dittee russ jaavey


Makkeh gayaan gal mukdee nahee, paanvein sau sau jummey parh aiyey
Ganga gayaan gal mukdee nahee, paanvein sau sau ghautey khaiyey
Gaya gayaan gal mukdee nahee, paanvein sau sau pand parhaiyey
Bulleh Shah gal taiyoon mukdee jaddoon Mein noon dilloon ganvaiyey
 
Raaz-e-dil na sunana kisi ko SAGAR,
Dunya mein sab humraz badal jatey hen,

Kisi k bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatey hen
 
Woh aaye ghar maiN hamare Khuda ki qudrat hai
Kabhi hum unko kabhi apne ghar ko dekhte haiN
 
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain

...

- The one and only, Ahmed Faraz
 
Bari nawazish P_R, kaash maine likhi hoti :p

[utube]iePGKdbRPUQ[/utube]
 
I hope it's ok to post some punjabi stuff ... oh sod it, here it is:

Judd keetiyaan te keetiyaan, rajj rajj keetiyaan, terey naal mohabbataan goordiyaan ni
Judd tuttiyaan te tuttiyaan fir einj tuttiyaan jeinvein kach diyaan kachiyaan choordiyaan ni
Nai mukkiyaan, nai mukkiyan, fir nai mukkiyan saadey vich jo peh gaiyaan dooriyaan ni
Saeen aya ... nai aya ... murd nai aya ... hoiyaan saah diyaan kardiyaan vi pooriyaan ni
 
ab samjha bhi daiN

Rehney do yaar, kya jaro ge samajh ke. Punjabi samajh leitey ho kya? Kuch bhi samagh nahi aya? Waisey yeh mera apna hai ... Jee ... Kabhi hum bhi jawaan they ... Dil rakhtey they ... Dard bhi rakhtey they ... Zauk bhi ... Phir ... Shaadi ho gai ... :rana
 
ab tou samjhana parega is ka matbal :p

just translate the words like judd and keetiyaaN
 
Acha bhai samjha doon ga. Vaisey, pehley hi dau lafzoon pe attak gaye ho Mian! LOL

Jadd means Jab, as in when. keetiyan keeti ki jamma hai, yaanee plural , aur keeti ka matlab hai kee ... karna se kiya jis ki maunas hai kee, lehaaza keetiyaan ka matlab huwa kein.

Maslan "Ace ne Looney ki bohat burraiyaan kein "


Samajh lago che?
 
Acha bhai samjha doon ga. Vaisey, pehley hi dau lafzoon pe attak gaye ho Mian! LOL

Jadd means Jab, as in when. keetiyan keeti ki jamma hai, yaanee plural , aur keeti ka matlab hai kee ... karna se kiya jis ki maunas hai kee, lehaaza keetiyaan ka matlab huwa kein.

Maslan "Ace ne Looney ki bohat burraiyaan kein "


Samajh lago che?

lols, bandha jey is tarah samjhaan shuru hou gaya tey raatan ithe i guzar jania ney, neendran udh jania ney, kamman tu chuttiyan hou jania ney.
 
Tera chehra kitna suhana lagta hai,tere aage chand purana lagta hai,
Teershe teershe teer nazar ke aate hain,seedha seedha dil pe nishana lagta hai.
Tera chehra kitna suhana lagta hai....

(Sorry,its not written by me...just copied :p )
 
Ahmed Faraz


Silsile torh gaya woh sab hi jaate jaate
Warna itne tou marasim thay ke aate jaate
Shikwa e zulmat e shab se tou kahiN behtar tha
Apne hisse ki koi shamma jalaate jalaate
Kitna aasaan tha tirray hijr maiN marna janaN
Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate
 
my name is Sheila
Shiela ki jawani
im too sexy for you
maiN tere haath na aani
 
^Ye shair zey ziada shararat lagti hai
 
Chalo kuch din duniya chhor dete hain Faraz
Suna hai loag bara yaad karte hain chalay jaanay kay baad.
-

Duniya aik ajab saraye-faani* dekhi
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi.
Jo aakay na jaaye woh burhapa dekhaa.
Jo jakay na aaye ..woh jawaani dekhi.


-


:14: :14: bohut khoob :14: :14:
 
Last edited:
enough trolling , time for serious shayari

Munir Niazi ka shair , Looney ki jaanib se paishkash


Zinda rahaiN tou kia hai jo mar jaayeN hum tou kia hai
Duniya se khamoshi se guzar jaayeN hum tou kia hai
Hasti hi apni kia hai zamaane ke saamne
Ik khwab haiN jahaaN maiN bikhar jaayeN hum tou kia hai
 
this one is from Pagal

tu dilbar tu dilnasheen
tu ehsaas ka darya tu dilmakeen

tu aatish-e-naar main aghyaar
tu aakash tu dilzameen

tu husn-e-zebaish main kali
tu jashn-e-latafat tu gulaafreen

tu junbish-e-qalam main rung-e-tehrir
tu soz-e-ulfat tu behtareen

tu jaltarang main ada-e-khaas
tu dil-e-natawaan tu chashm-e-hazeen

tu shaoor-e-hayat main misl-e-kainat
tu danishmand tu mehrjabeen

tu sagar-o-sehra main andha main behra
tu khoon-e-jigar tu sholabareen

tu shajr-e-mamnuaan aur main pagal
tu baakhlaaq tu bakirdaar tu aqwaal-e-zareen
 
One of my cousins actually told me this when I last visited Pakistan in 2009:

Na dekh kisi ko hairat ki nigah saye,
Har chehra kisi ka mehboob hota hai


I think it's true :amir
 
Bak raha hoon junoon mein kya kya kuchh,
Kuchh na samjhe khuda kare koi

Ghalib
 
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

wah kk, loved those, agar koi aur aisai deep two liners hoN tau zaroor post karna. :)
 
Ironic. Shouldn't the OP be spelled as 'sha'iri' instead. The word itself is 'شاعرى'.
 
In andhero se pare is shab-e- gham se aagey
Ek nayi subah bhi hai sham-e-alam se aagey. - ishrat kadri.
 
Last edited:
Back
Top